Ek badlte hue mausam ke sukhe patte ne mjhse pucha,
Kyu zindagi ko meri tarah bejaan bananna chahte ho tum?
Naye sawaan ki nayi barsaat tumhaara intezaar kar rahi hai ,
Kch khushiyaan tumhaare kadam chumne ko bechain dol rhi hain!!1!!
Us samay, haa us samay ek hawa ka jhonka aaya meri zindagi mein,
Mud kar dekha toh, tumhe paya , khuda se tohfe ke roop mein!
Chaha to tha hamne ki un gehraaiyon se ubar jaye hum,
Kaha yaha hum mehlo ke bare mein hi soch baithe!!2!!
Tumhari ek muskurahat ke saath muskuraane lage hum,
Har pal ko jeena sikhne lage hum,!
Kisne mud kar dekha us guzare bure waqt ko dubaara?
Jo kadam se kadam mila kar chalne lage the ab!!3!!
Ab khushian achi lagane lagi thi,
Chahkna khilkhilaana lubhaane lagaa tha!
Jo waqt tumhaare saath nikalta tha,
Pura din unhi yaadon mein nikalta tha!!4!!
Dua hai khuda ki rehmat ho hum dono ki iss atoot rishte par!
Nazar lagaane waala toh har roop mein nazar laga diya karte hai!!5!!
Abhay
9872927009
10th feb`09
1.30 a.m.