Tuesday, December 28, 2010

winner at the Drop Shots National Level Photography Competition organised by schools.indiawaterportal.org


Development on the cost of WATER

Lakes are Vanishing day by day. This is a Satire as it showing a vanished lake and the same buildings which are constructed on the cost of lake water. Its time to wake up! Think INDIA Think!!

Wednesday, December 8, 2010

There are five elements of NATURE..

1.) WATER




2.) FIRE



3.) SPACE




4.) AIR





5.) EARTH(LAND)


Monday, October 18, 2010

Random..




क्यों बदले अपने अंदाज़ को किसी और के लिए....
एक अंदाज़ ही तो है जिसके सहारे जी रहे है हम !!

Wednesday, June 2, 2010

Thursday, May 13, 2010

Thursday, March 18, 2010

BEJAAN GUDIYA - 1



Naam mera bejaan gudia,

Lagti hun mai ek chune ki gudiya!

Karti hun saare main din bhar ke kaam,

Pathar ki gudiya pad gya hai mera naam!!1!!


Subah uthti school ko jaati,

School se aakar bhi main chulha jalaati !

Parcho mein main hamesha avval aati,

Phir bhi kyu sabki parayi kehlaati !!2!!


Shaam ko bhai jab khelne jaata,

Gobar thaap ke yaha din dhal jaata!

Raat mein jab main sabko khilaati,

Ann ke badle sirf daant hi khaati !!3!!


Sabki umeedo par main khar utarti thi,

Phir bhi kharche mein sirf chavanni hi milti thi !

Tuti gudiya roj hi silti thi,

Akele mein main har dum hi bilakhti thi !!4!!


Nanhi pari kehte the mujhko,

Hasti khil khilati dikhti thi sabko!

Phir kyu samajhte the bejaan mujhko?

Rakte the sapno se anjaan mujhko!!5!!


School se nikalkar jab main padhna chahi,

Haath-pairo mein bediyaan paayi !

Din jo the padne ke,

Phir wo bas chulhe mein hi jalte the!!6!!

Abhay

9872927009

12th march`10

04.20 p.m.

Thursday, February 11, 2010

Tuesday, January 5, 2010

Pyaar 'd ultimate feeling'

Pyaar Jai Mata Di

Pyaar kya hai?

Ek rishta ya ek ehsaas hai !

Kuch log rishto mein pyaar dhunda karte hai,

Aur kuch uss pyaar ka ehsaas kiya karte hai !!1!!


Kisaan ka apne kheto se,

Maa ka apne bachon se,

Lekhak ka apni kalam se,

Aur gareeb ka ek roti se,

Agar ye pyaar hi nahi to aur kya hai !!2!!


Jis tarah hawa apne chalne ka,

Suraj apni roshni ka,

Aur jal apne behne ka ehsaas dilaata hai!

Ussi tarah kissi ek dor se bandha pyaar ka rishta,

Meelo dur hokar bhi gulaab si mehak bikherta hai!!3!!


Bhagat Singh, Rajguru, Sukhdev,

Chahte to yeh bhi maa ke aanchal se pyaar kar sakte the!

Par nahi,

Unhone azaadi aur faansi se pyaar kiya!!4!!


Par hum, hum na to azaadi ko kuch de paaye,

Aur naa hi maa ki uss mamta ko!

Kum se kum dharti maa se to pyaar kare,

Jismein milkar humein bhi ek din mitti hi ban jaana hai !!5!!


Kehte hai chand aur chakor ka koi rishta nahi,

Phir kyu wo chand tak jaane ki aas rakhta hai !

Saans na aane ke karan markar bhi, bas itna hi wo kehta hai,

Ki kaash main waha chaand ke paas pahuch sakta!!6!!


Suna hai shaadi ke baad log apne jeevan saathi mein pyaar ko paate hain,

Phir kyu baad mein wo kissi aur ki talaash mein bhatakte hai?

Bhatak kar, har gandagi se guzarkar,

Ant mein bhi to wo ussi pyaar ke paas wapas hi aa jaate hai!!7!!


Hum kehte hai ki wo hamsein pyaar nahi karte,

Hum khud se bhi to pyaar nahi karte,

Asal sach to yeh ki hum jaante hi nahi ki pyaar kya hai,

Agar pata hota humein yeh,

Toh hum dar-dar na bhatakte!!8!


Agar phir bhi janana chahte ho ki pyaar kya hai,

To ek pyaase se pucho ki paani uske liye kya hai,

Ek bhookhe se pooche ki roti uske liye kya hai,

Ek marte hue insaan se pucho ki zindagi uske liye kya hai!!9!!


Meri to bas yahi Dua hai khuda se ki rehmat ho uski,

Chahe yeh pyaar ka rishta ho ya uska ehsaas ho!

Kyunki nazar lagaanee waale to,

Har roop mein nazar laga diya karte hai!!10!!

Abhay

9872927009

06th Nov`09

00.20 a.m.